محترم لال بیگ شہید کا کارنامہ - مطالعہ لال بیگستان




تبصرے

~*~ NooR ~*~ نے کہا…
AYE WATAN K SAJEELAY LAL BAIGON, MERAY NAGHMAY TUMHRAY LIYE HAIN........

Main apna ye song MAJOR BAIG SAHAB ko dedicate karti hoon jinhon nay nihayat bahaduri ka muzahira kia or kaminay or nalaik or intehaiii kamina or kambakhat or intehaii neech darjay ka manhus or phitkaar bharay huway shakal wala dushman MAKRANI SOHAIL CHISHTI urf LANTI ki watt maar di or sath sath bahaduri say laray or watan ki mohabbat or wattan ki izzat ko bachanay ki khatir apni jaan ka nazrana paish kia or watan k jawan lal baigon k liye ek namuna ban gaye.

Agar MOJOR LAL BAIG sahab itni jad-o-jehad na kartay or dushman k morchay ko apnay qabzay main na laytay to shyaad aaj humara ye LAL BAIGISTAN duniya-e-gutter k naqshay say hamesha hamesha k liye mit jata main bohat hi mashkur hun baig sahab ki or hum sab ko hona chahiye.

MAJOR SAHAB tazay ghee or lassi k nihayat bohat very so much shokeen thay yahi waja hay k unhon nay dhushman ka datt kar samna kiya is baat say humain ye sabaq milta hay k ab say humko bhi apni naaliyon main tazay ghee or lassi ko bahana chahiye ta k is say lal baigon ki naii nasal jo k parwaan charh rahi hay kal ko MOJAR LAL BAIG banain or watan ka naam roshan karay.

Main yahan BAIG SAHAB ki family planning ki khilaaf warzi ka bhi zikar karungi jinhon nay itnay saray andon ko apnay baad chora ye anday apnay aap main hi MAJOR LAL BAIG hain ye kal ko humari LALBIGISTAN ki foj main bharti hongay agar aaj BAIG sahan humary darmiyaan nahi hain per kal ko ye anday phut kar apnay aap main hi SO SAWA SO MAJOR LAL BAIG hongay.

Aakhir main ek nara lagaungi MAJOR sahab k liye or aap sab nay mera sath dayna hay.

MAJOR SAHAB KI.....JAYE HO
MAJOR SAHAB KI.....JAYE HO
LAL BAIGISTAN.....ZINDABAD PAINDABAAD

WASSALAM.....
MADAM ALLAMA QAZI MUFTI HAFIZ MOLANI MIRZA "NOOR SAHIBA".
گمنام نے کہا…
sohail bhai ka shakaar un k mazah ki tarjomani kar raha hai .....aisa lagta hai jaisay sohail bhai ne khud baig sahab ki nafsiyat ka mutalla kia ho
tanzeel نے کہا…
Bohat Khoob sohail Abdullah (Mir Jaffar) aap nay intehaai khoobsoorati say Major Baig ki bahaduri ko salaam pesh kia, ager aap unkay ooper keemyaye hathyaar (Baygon Spray) istemaal na kartay to Major Baig yaqeenan Ghazi kay roop main aaj General Baig aka general Mirza Aslam Baig hotay ....

Aik Adna sa Sipahi
Tanzeel
www.pakistandesk.com
anam نے کہا…
Allah janat ata farma ameen
گمنام نے کہا…
woh jo aaj ham main nahin--please recite surah fateha for major lal baig shaheed.khuda unhain jaware rehmat main jaga day.ameen
Rabia Salam نے کہا…
...pehley tu baig sahab ki mout k gham mei 1 minute ki khamoshi ikhtyar ki jaye
*aik min ki khamoshi ka duraniya khatam hua*

choun k baig sahab aab hamarey darmayan mojood nai hein tu unn k liye koi bhi sakht alfaz istimal karney se guraiz kartey huye mein siraf itna hi kehna chahon gi k unn ki himaat aur bahaduri k charchey rehti duniya tak qaim o daim raheingey... yahan tak k hamari aney wali naslein bhi unnki bahaduri k qaseedey parheingi...

aur jahan tak dushmanan-e-lal_baig ka taluq hai tu mera aam khayal yeh hai k uss ko bhi acha sabaq mila hoga Baig sahab se takar leney ka.
ain-nawazish
duaoun ki talabgar

مشہور اشاعتیں